NEET ki tayari ke liye 2 saal kaafi hai kya? (Hinglish)
Introduction:
Hello to-be-docs! Har saal, lakho students NEET ki tayari mein jut jaate hain, aur sabke mann mein ek sawaal hota hi hai – kya do saal NEET crack karne ke liye kaafi hain? Iska jawab itna seedha nahi hai. Yeh depend karta hai aapki tayari aur approach par. Toh chaliye, is topic ko ache se samajhte hain.
Yes, If:
1. 11th Standard mai padhai jaldi start kardena:
Agar aapne 11th class mein hi NEET ki tayari shuru kar di hai, toh aapne pehla kadam sahi rakha hai. Is early stage mein shuru ki gayi tayari aapko syllabus ko acche se samajhne aur us par pakad banane ka mauka deti hai. Yahaan aapko har ek topic ko detail mein padhne ka time milta hai, jisse aapke basic concepts clear hote hain. Aur ye basics aage chal kar NEET ke tough questions tackle karne mein aapki madad karte hain.
2. Plan karke roz padhai karna:
Start ki baat toh hogayi but sirf ek acha start kaafi nahi, lagatar aur systematic tarike se padhai karna bhi utna hi zaroori hai. Regular study schedule, timely syllabus completion, aur har topic par equal focus – ye sab NEET ke preparation mein aage badhne mein madat karte hain. Consistency aapko har din thoda aur behtar banati hai.
3. Practice karte rehna:
NEET jaise exams mai ek hi rule hai: PRACTICE PRACTICE PRACTICE. Regularly different types ke questions aur previous year questions (PYQs) solve karne se, exam pattern ki acchi samajh milti hai. Ye practice aapko different question types se familiarize karti hai aur aapki problem-solving speed ko bhi improve karti hai.
4. Mock Test dena and unka Analysis karna:
Mock tests aapko real exam environment ka experience dete hain. In tests ko solve karne ke baad unka analysis karke, aap apni strengths aur weaknesses ko pehchan sakte hain. Ye analysis aapko batata hai ki aapko kis area mein aur mehnat ki zaroorat hai aur kahaan aap already strong ho.
5. Exam ke din par confidence:
Exam ke din aapka confidence level bhi utna hi importance rakhta hai jitna aapki preparation. Agar aapne acche se prepare kiya hai, toh exam hall mein baithne par aapko confidence naturally aayega. Ye confidence aapko calm rakhta hai aur aapke performance ko positively influence karta hai.
Maybe No, If:
1. Preparation on an off karna:
If you failed in any of the above listed points, ya aapki NEET preparation mein consistency nahi rahi hai, toh maybe 2 years aren’t enough. NEET ka competition 20 Lakh logo ke bich hai. Poor preparation leads to poor confidence during exam jiski wajah se hum kaafi silly mistakes karte hai. It is a vicious cycle.
2. Exam ke din par bad luck:
Kabhi-kabhi, sirf bad luck ke karan bhi exam day par performance affect ho sakti hai. Ho sakta hai ki aapne acchi tayari ki ho, lekin exam ke din health kharab ho jaaye ya kaafi nervousness ho jaaye, you never know. Ye factors aapke performance ko influence kar sakte hain.
Cheat Codes to Crack in 2 Years:
1. Flexible time table banana:
Ek flexible and dynamic strategy aur timetable rakho. Kisi aur ka timetable toh kabhi blindly follow nahi karna hai. Agar lagta hai ki koi plan kaam nahi kar raha, toh usko modify karo. Is flexibility se padhai aur effective bana jaati hai.
2. Mental aur Physical Health par focus karna:
NEET preparation ke waqt mental aur physical health ka dhyaan rakhna bahut zaroori hai. Regular exercise, balanced diet, aur adequate sleep aapko mentally aur physically fit rakhte hain, jis se padhai mein concentration improve hota hai. Don’t overlook this aspect. Trust me, thode efforts daalo apni health ki taraf and look at the difference it makes.
3. Commitment ki baat hai:
Dekho NEET preparation bacho ka khel nahi hai. (Ironically, yes) Isme commitment rakhne ki maturity dikhani padega. Hard work, passion, and relentless sacrifice: these aren’t just words on a paper. Hum medicos ne NEET ke waqt par bhi din mai 12-15 hours kaam kiya hai, abhi bhi karte hai.
Make sure that you have the passion for medicine beforehand only, kyuki itni mehnat passion ke bina nahi ho sakti.
Yaar, nahi hoga 2 saal mai…
Pehle toh chill, competition ko samajh bhai:
At this point, NEET bilkul ek rat race ban chuka hai. ITS VERY VERY DIFFICULT. It’s not something easy that you were too weak to do. Sab sahi karne ke baad bhi nahi ho pata hai. We understand.
Almost 60% of my batchmates (one of the top mbbs colleges in mumbai) are droppers. Bohot common baat hai drop lena.
Drop Year:
Agar do saal mein NEET crack nahi hota hai, toh ek drop year lekar aur mehnat se tayari karne ka option hamesha khula hai. Pehle bethke analyse karo 2 saal ki galtiyan, phir kya? Lagjao bass. Sapno ki koi expiry date nahi hoti.
Toh answer kya?:
Toh dosto, 2 saal mai NEET crack karna possible toh hai but difficult bhi hai. Don’t get overwhelmed by the idea of having just two years but at the same time don’t just underestimate yourself by thinking that tumse toh 2 saal mai nikal hi nahi payega. Sab possible hai, bass passion ki baat hai.