NEET Preparation ke waqt kya NAHI karna hai? (Hinglish)
Introduction:
Hey NEET aspirants. NEET preparation ke waqt hum seniors se jaakar puchte hai, ‘Yeh kaise karna, woh kaise karna hai, kya padhu, kitna padhu etc’ Inn sabhi questions se zyada important ek question hum puchna bhool jaate hai- ‘Kya NAHI karna hai?’
Dekho, 2 saal hai tumhare pass, competition itna hai, ki bass pucho mat. Aise mai trial and error ka time nahi hai na dost. Mai aaj woh sab mistakes discuss karna chahti hu, jo maine apne preparation ke waqt ki. Mai nahi chahti ki tum log bhi same galtiyon pe apna time waste karo. Chalo fir, starting se hi smart work kaise karna hai yeh seekhte hai.
I. Planning Ko Ignore Karna.
Mujhe 11th std ke start mai mechanics bilkul bhi nahi samjhi thi, and iss topic ko lekar mai kaafi pareshan hui. Fir maine decide kiya, ki bass abhi toh samajhkar rahugi. Mene din raat, 1 mahine tak mechanics padhkar, fir agle mahine sab question books solve kardi, including HCV. Smart na? NO.
Mechanics ke chakkar mai, I missed out on ‘Ray Optics’ lectures. ‘Ray Optics’ ka yeh backlog 11th mai cover hi nahi kar payi. 12th mai jaldbaazi mai padh liya. NEET mai jab Ray optics ka question aaya toh bass, nahi kar payi solve. Aur ha, NEET mai mechanics se HCV ke level wale koi questions nahi aaye. (Duh)
Better Kya Kar Sakti Thi: “Oh! Mechanics nahi samjha hai, let me check my schedule. Iss mahine class mai ‘Ray Optics’ padha rahe hai jo mai miss nahi kar sakti. But, next month physics mai bhi KTG hai and chem mai bhi Hydrogen: dono easy topics. Iss hisaab se, agle month roz 2-3 hours nikalkar yeh backlog khatam kar leti hu.”
Weekly and monthly schedule plan karna bohot important hai. Apni preparation ko smartly handle karo, chapters ke saath emotions mat associate karo. Study and move on. Discipline seekho.
II. Ratta Maarna, Woh Bhi Last-Minute.
“Kal se padhunga/padhungi” – kitni baar suna hai ye? Last-minute cramming kabhi bhi effective nahi hoti. Kitne bhi ache rattu-popat ho tum, ek conceptual question aagaya toh rona nikal jayega.
5 mark hote hai 1 question ke, 1 mark ke difference se 1000s mai rank upar-niche jaa sakta hai. Dimaag lagao, cocept samjho.
III. Apni Physical Aur Mental Health Ko Ignore Karna:
Padhai important hai, isliye health bhi important hai. 2 saal acha khaana khao chup chap se, thoda meditation karo roz and sunlight lene ka bhi try karo.
Vit D deficiency hogayi toh aalas aane lagta hai. Bohot zyade fried items, carbs khaa liye toh thodi der mai energy crash hojaati hai. neend adequate nahi li toh concentration mai problems hoti hai and sabse important, stress lene se koi kaam sahi nahi hota.
Mental Health se zyada important kuch nahi.
Nahi ho raha hai, bohot darr lagraha hai, kuch nahi samajh raha? Take a break.Ek do din ke liye rest karlo. Ek plan devise karke fir vapis padhai start karo.
IV. Practice Na Karna, Saying “NEET Was My First Mock Test”
Practice ka ek obvious advantage: time management tackle kar paana.
Dusra important advantage: Familiarity.
Bohot stressful sa hota hai NEET ka exam centre, aise mai agar questions bhi alien lage toh bass hogaya game over.
Honestly, maine sirf last ke 2 months mai lagataar mock tests diye the, iske alaawa mai class tests bhi nahi deti thi. Jitne limited mocks mene solve kiye the unmese hi kaafi questions sidhe NEET exam mai aaye the. Exam ke baad mai sirf yehi sochrahi thi, ‘last year se start kardeti toh shayad aaj isse bhi zyada questions solve karleti.’
Practice karte raho, and usse bhi zyada important, apne mock tests and practice sheets ko analyze karte raho.
V. Apne Weak Topics Par Kuch Zyada Hi Focus Karna:
Fir vahi ‘Mechanics’ wala situation. Hum humari galtiyo se itne emotions associate kar lete hai ki bas s aage piche ki baatein dekh hi nahi paate hai.
Weightage ke according padhna zyada important hai. I know Ecology easy and boring hai, but uski weightage bhi achi hai, ecology ko ignore karna is a huge mistake.
Issi tarah, chem mai organic par focus karte hue physical ko ignore karna bhi ek kaafi common mistake hai. Weak topics par focus karte hue apne strong topics ki grasp mat chod dena.
Aur abhi in strong topics pe pakad kaise banakar rakhe?
VI. REVISION!!!!
Sirf aur sirf regular revision se hi aapko cheeze yaad rahegi. Varna padhai sirf ek kaan se sunna and dusre se nikalne ke barabaar hai.
Yeh point toh medical field mai zindagi bhar ke liye zaroori hai. Revision jabtak life mai include nahi hoga, padhne ka koi fayda nahi. Jis tarah exam mai answer yaad aane chahiye ussi tarah patient ko treat karte waqt dcotor ko sab information yaad aani chahiye.
Agar theory hi yaad na ho toh diagnose kaise karoge?
Yaad toh karna hi padega, yeh fact jitna jaldi accept karo, utna behtar.
VII. Sirf Coaching Institutes Ke Upar Dependant Rehna:
Coaching classes 100% guarantee nahi dete hai success ki. Kisi bhi coaching centre mai, har teacher yehi guidance deta hai: Self study lectures attend karne jitni hi important hai.
I always say ‘Humari preparation ka idea sirf hume hota hai.’
Coaching Classes average bache ko default maankar apni guidelines set karti hai. Abhi kuch topics mai hum average se better hote hai toh kuch mai average se weak. Iss hisaab se kahi kahi coaching se extra work put in karna padta hai.
Kuch topics coaching mai achese nahi padhaye jaate hai, online resources dhundo and yeh sab topics alternate teachers se tabhi ke tabhi padhkar khatam karo.
Mene personally meri coaching centre ke modules nahi solve kiye the kyuki mujhe voh NEET level se kaafi zyada difficult lagte the. Iss tarah se agar coaching ki taraf se kuch galti bhi horahi ho toh voh identify karke solution dhundo. Kisi ek resource ko blindly mat trust karo.
VII. Time Sahi Se Allot Nahi Kar Paana:
3 SUBJECTS HAI. Sir bio padhke NEET nahi clear hota hai. Naahi sirf physics samajhkar.
Har subject, har topic ko time dena seekho. Question solving and self assessment ko bhi time dena seekho.
Din ke end mai, sab cheeze ek hi jagah aakar end hoti hai: Discipline pe. Plan banao, dino mai topics distribute karo and iss plan ko table par chipka do. Apne time ko friends, parties, festivals par waste mat karo. Sab karne ka time milega 2 saal ke baad.
Conclusion:
Toh samjhe? Yeh faltu galtiyan mat karna joh mene ki thi. BE SMART AND KEEP WORKING HARD. Hard work na ho toh koi blog nahi bacha sakta tumhe.
Aaj ke liye itna hi.
Yours, Senior